Sunkar Ascharya na kare, yeh sach hai Bihar ka vikas sambhav nahi hai, sabse pahele Badh (flood) yeh Uttar Bihar ka sabse bada abhishap hai, Ganga ke Uttari Bhag mei rahene wale log saal ke char mahine apne kheton ko badh ke pani me dube hue sirf dekh sakte hai pani ke uper kheti nahi kar sakte. badh ko rokne ke liye jo nitiyan honi chahiye woh Bihar sarkar ke paas to kya Bharat sarkar ke paas bhi nahi hai. Ek baar President rahte huye A.P.J.Kalam ne apna plan bataya tha lekin unke plan ko filon mein hi rahane diya gaya. Sach to ye hai ki agar plan ko amal mein laya jata to shayad bihar ko badh se nijaat mil jaati aur uttar bihar ki kheti phir se lehlaha uthti jisse Bihar mein khushhali aa sakti hai.Lekin aisa nahi ho sakta.Doosari taraf Shiksha (Education) Hai jinke kandhon par woh rote hain paiso ko lekar,Bihar ke Shikshak (Teacher) Ko woh sab kuchh milta hai jo woh chahate hai,lekin unhe bhi shikshan karyon se alag kar doosare kaamo mein lagakar shiksha ka satyanash kar dala hai yeh kaam aaj se nahin jamaane se chala aa raha hai.Unhe (teacher Ko) ek saal mein mein lagbhag kul milakar 6 mahine chhutti ya phir doosare sadhno mein lagaya jaata hai,baaki ke 6 mahine hartaal (Strike) ya phir French (French ka matlab bina application ke chhutti) maarkar kam chalate hai, Kabhi bihar shiksha pariyojna to kabhi panchayato ke bina matlab ke kaam ke liye school se gayab rahete hai, ab ek naya shigufa ya mazak hai shiksha mitra ka jinka shiksha mitra ke naam par shoshan kiya jata hai, unhe panchayat ke mukhiyon ne 100rupaye har mahine kamishan lekar payment dete hai 150rupye lekar deputation dete hai, 500rupaye lekar mahine bhar ki chutti de dete hai, ek tarah se dekha jaye to shiksha mitra ki tisri bahali main jo abhi chal rahi thi usme unhi logo ko liya gaya jo log 75000 se lekar 200000 rupye tak chadhava diye hai(Chadhava ka matlab mukhiya se lekar BEO hi nahi, DEO tak ko hissa milta hai Saath mein BDO,Kabhi kabhi Local MLA tak ko Bhi hissa milta hai) ab hum kaise ummid kar sakte hai ki Bihar main garibon ko nyaay milega. 10 saal baad sharbi bihar ke yuva kya kisi office ke peon ke layak bhi rah payenge, jab berozgari badhegi tab apradh bhi badhega, tab ki soch kar rooh kanp jati hai, abhi BPSC ka haal yeh hai ki kaee saalon ke Exam ko ek saath liya ja raha hai, yeh meghavi chhatro ke bhavishya ko barbaad karne se zyada kuch nahi hai, kuch vibhago main to khali jagaho ko apne rishtedaron se hi bhar diya jata hai, haal to yeh hai ki rojgaar ke naam par thekedari hi bachi hai jaha par 40% kamishan dekar kaam liye jate hai jo paheli barish main hi dhul jate hai, sadko ka haal sirf aisa hai ki national highway ke alawa koi bhi sadak sahi nahi hai, National highway ka bhi abhi kaam chalu hai, iske alawa do number iient (Brick) se banne wali sadak barish ke baad chalne layak nahi rah jati hai.
pahele to log awaz bhi uthate the shikayate bhi karte the lekin is panchayati raj wale Bihar main abhi panchayaton main bhi shikayat karne se pahele sau baar sochte hai kyon ki sharab ka nasha laathi ke nashe ke saamne choti pad jati hai, ab bhala koi aam insaan kaise soch sakta hai ki Bihar ka vikas sambhav hai.
Thursday, September 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment